Monday 9 February 2015

love poetry or song


LOVE POETRY

kabhi kha ya na kaha bahut si baatein hai mere dil mein

tumhare liye sirf tumhare liye

ye samy yu hi nikal gaya aur pyar aur badta gaya mere dil mein

tumhare liye sirf tumhare liye

sunai de rahe ho alfaaz agar, alfaaz ki shakl m dil ka haal h mera

jo m gaa raha hu sirf

tumhare liye sirf tumhare liye

kabhi kaha ya na kaha bahut si baatein hai mere dil mein

tumhare liye sirf tumhare liye

 

teri ye chaah aisi hai jigar m jaagti rehti

mile to ankh jub tumse to wo mujhse hai ye kehti,

jhapkne na dungi palke tera deedar baaki hai

raat v jaag ke katti hai, ujale m bhi takti hai

tumhare liye sirf tumhare liye

kabhi kaha ya na kaha bahut si baatein hai mere dil mein

tumhare liye sirf tumhare liye

 

dil jo tabse apna tha, mere jism mein  jo rehta tha

wo dauda jata hai milne ko, pareshan rehata hai

tumhare liye sirf tumhare liye   

kabhi kaha ya na kaha bahut si baatein hai mere dil mein

tumhare liye sirf tumhare liye

 

likhu kya soch kar baitha ye ijhaar hai mera

lafjo mai bayan na ho sake wo pyar hai mera

dilo ki baat gar dil jaan jaye sirf kehne se

to mein sau baar tujhse keh saku tu pyar hai mera

hamesha roj sapno me intejar kiya maine

tumhare liye sirf tumhare liye

kabhi kaha ya na kaha bahut si baatein hai mere dil mein

tumhare liye sirf tumhare liye

 

mujhe apna le jaise tujhme hi basta raha hu mai

meri tu justzu hai shaan se kehta raha hu mai

samhala ja raha na mujhse dil ka haal aisa hai

diwanepn mein mujhse hi bagawat kar raha hai ye

tumhare liye sirf tumhare liye

kabhi kaha ya na kaha bahut si baatein hai mere dil mein

tumhare liye sirf tumhare liye

 Hem Chandra Tiwari 'MHICHA'

No comments:

Post a Comment

कई भाई लोग साथ आ रहे हैं, अच्छा लग रहा है, एक नया भारत दिख रहा है। आजाद हिंद के सपनो का अब फिर परचम लहरा है। उन्नति के शिखरों में अब राज्य ह...